spirituality and human being.

aajkal humhai lagta hai spirituality gayi gujre jamane ki baat hai.ish se aaj kuch vi nehi mil sakta.sab log srif payse kamane aur mahenge mahenge cheso ko kharidhne  ke piche hi lage huye hai.
       magar kyun? aysa kya log chahate hai ki sab hi bhag rahe hai. dekha jaye toh insan har pal srif khushi chahata hai, aur ish ke liye woh kuch vi karne ko taiyar hai. aysa kyun hota hai?ishliye kyun ki insan aapne maan ko control nehi kar pa rahe hai. dino din ushki chahat badh rahe hai.lekin ushse khushi milta nehi hai. 
        har insan ke andar atma hota hai.aur woh niyantrit nehi hai, kyunki maan shant nehi hai.maan ko shant karne ke liye humhai apne andar yani antar maan se puchna hai hum kya chahate hai. sur hum kya karna chahate hai. aur kyun karna chahate hai?maan bolegi ki tumhai naam kamana hai, paysewale admi banna hai,famous hona hai. aab maan se yeh puchna hai ki jab admi maar jata hai tab yeh sab ka kya hoga.kya log humhai yaad rakhenge. kya paysa hum le ja payenge? maan kuch nehi bol payega.toh aab sawal yeh ata hai toh humhdi karna kya hai.jab hum aapne aap se sawal karne lagte hai toh hum aapni atma ki karib jane lagte hai.bash yehi se suru hota hai spirituality. apne ghar ko safai karne ka ek naam hai spirituality. matlab woh mahan shakti jo humhare andar hi hai, ushse judhna.

  

Comments